Best Patriotic Dialogues Of Bollywood

Patriotic-08[tps_footer]Patriotism is not a quality, it is an emotion. A feeling we all have for our nation. But sadly it is always films that manage to bring to surface the love we feel for our country. On the 68th year independence Day, here are some of the Bollywood dialogues that sparks the feeling of belongingness towards our country.

Swades
Mohan Bhargava (Shahrukh Khan): Main nahin maanta ki hamara desh duniya ka sabse mahaan desh hai. Lekin yeh zaroor maanta hoon ki hummein kabiliyat hai, taakat hai, is desh ko mahaan banane ki… Hum aapas mein ladte rehte hain, jab hamein ladna chahiye ashiksha ke khilaaf, badhti hui aabadi, bhrashtachaar ke khilaaf. Yahan jaati ke aadhar pe bhed bhav ho rahein hain. Dalit Brahmin ko dosh deta hai, zamindar kisaan ko dosh deta hai par unka hak nahin deta. Phir hum mahaan kaise hue?

Pukar
Yeh Veer Shivaji, Rana Pratap jaise bahaduron ki sarzameen hai. Jise Bhagat Singh, Azad, Ashfaqullah Khan ne apne khoon se seencha hai. Humein koi tod nahin sakta… Hum Hindustani ek hain or ek hi rahenge. Aur desh ke har ek dushman ko milkar marenge.
This is the land of brave warriors like Shivaji and Rana Pratap, which was watered by Bhagat Singh, Azad and Ashfaqullah Khan with their blood. No one can divide us. We Indians are one and we will be one. And we will unitedly fight every enemy of our nation.

Rang De Basanti
Door se commentary dena bahut aasaan hota hai. Doosron ko gaali dena aur bhi aasaan. Agar tumhein itni problem hai to tum badlo na deshko. Yeh tumhara bhi desh hai. Politics join karo, police ya IAS mein bharti hojao, badlo cheezon ko. Lekin tum nahin karoge. Main bataaon kyon? Kyon ki gharki safai mein haath gande kyun karein? Agar itni himmat hai, toh aage badho. Badlo is desh ka future.

Gadar
Humara Hindustan zindabad tha, zindabad hai, aur zindabad rahega!

Chak De India
Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai … sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A

Maa Tujhe Salaam
Tum doodh mangoge hum kheer denge … tum Kashmir mangoge hum cheer denge

Soldier
Tumhare seene mein joh dil hai woh Hindustani hai … aur Hindustani dil awaara nahi hota … yeh chahta toh sari duniya ko hai, lekin mitta kisi Hindustani par hai

Border
Hum toh kisi doosre ki dharti par nazar bhi nahi dalte … lekin itne nalayak bachche bhi nahi hai … ki koi hamari dharti maa par nazar daale aur hum chup chap dekhte rahe

Also See : Happy New Year Trailer Was Just Grand

Happy New Year0[/tps_footer]

BusinessofCinema News Network

Learn More →